hai tera intizar gulshan mein
hai tirā intizār gulshan meñ
ro rahī hai bahār gulshan meñ
aaj phir dāman-e-umīd mirā
ho gayā taar taar gulshan meñ
pattiyāñ kab bikher deñ jhoñke
kis ko hai e'tibār gulshan meñ
kis qadar saḳht-jān thā 'anjum'
jo rahā sogvār gulshan meñ
hai tera intizar gulshan mein
ro rahi hai bahaar gulshan mein
aaj phir daman-e-umid mera
ho gaya tar tar gulshan mein
pattiyan kab bikher den jhonke
kis ko hai e'tibar gulshan mein
kis qadar saKHt-jaan tha 'anjum'
jo raha sogwar gulshan mein
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 84)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.