hai uske pyar ki KHushbu gulab ke manind
hai us ke pyaar kī ḳhushbū gulāb ke mānind
surūr-o-kaif purānī sharāb ke mānind
ab is se aur ziyāda hasīn kyā hogī
chamak rahī hai zamīñ māhtāb ke mānind
tamām-umr kā ham ehtisāb kar lete
ye zindagī bhī jo hotī hisāb ke mānind
vo paas aa.e to phir dil kā haal kyā hogā
vo yaad aa.e hai jab iztirāb ke mānind
hayāt laakh sahī mauj-e-be-qarār magar
tire baġhair hai goyā sarāb ke mānind
vo lafz lafz mahaktā hai merī ġhazloñ meñ
ki maiñ ne us ko likhā hai gulāb ke mānind
usī ko kahte haiñ tābīr-e-ḳhvāb bhī shāyad
jo ham ne umr guzārī hai ḳhvāb ke mānind
hai us ke pyar ki KHushbu gulab ke manind
surur-o-kaif purani sharab ke manind
ab is se aur ziyaada hasin kya hogi
chamak rahi hai zamin mahtab ke manind
tamam-umr ka hum ehtisab kar lete
ye zindagi bhi jo hoti hisab ke manind
wo pas aae to phir dil ka haal kya hoga
wo yaad aae hai jab iztirab ke manind
hayat lakh sahi mauj-e-be-qarar magar
tere baghair hai goya sarab ke manind
wo lafz lafz mahakta hai meri ghazlon mein
ki main ne us ko likha hai gulab ke manind
usi ko kahte hain tabir-e-KHwab bhi shayad
jo hum ne umr guzari hai KHwab ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.