Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai usi shahr ki galiyon mein qayam apna bhi

Afzaal Naveed

hai usi shahr ki galiyon mein qayam apna bhi

Afzaal Naveed

MORE BYAfzaal Naveed

    hai usī shahr galiyoñ meñ qayām apnā bhī

    ek taḳhtī pe likhā rahtā hai naam apnā bhī

    bhīgtī rahtī hai dahlīz kisī bārish meñ

    dekhte dekhte bhar jaatā hai jaam apnā bhī

    ek to shaam be-mehr havā chaltī hai

    ek rahtā hai tire meñ ḳhirām apnā bhī

    koī aahaT tire kūche meñ mahak uThtī hai

    jaag uThtā hai tamāshā kisī shaam apnā bhī

    ek bādal nahīñ bār-e-garāñ se nālāñ

    sargirāñ rahtā hai ik zor kalām apnā bhī

    koī rasta mire vīrāne meñ aa jaatā hai

    usī raste se nikaltā hai davām apnā bhī

    ek dil hai ki jise yaad haiñ bāteñ apnī

    ek mai hai ki jise raas hai jaam apnā bhī

    yūñhī logoñ ke pas-o-pesh meñ chalte chalte

    gard uḌtī hai bikhar jaatā hai naam apnā bhī

    mubtalā kār-e-shab-o-roz meñ hai shahr 'naved'

    aur isī shahr meñ gum hai koī kaam apnā bhī

    hai usi shahr ki galiyon mein qayam apna bhi

    ek taKHti pe likha rahta hai nam apna bhi

    bhigti rahti hai dahliz kisi barish mein

    dekhte dekhte bhar jata hai jam apna bhi

    ek to sham ki be-mehr hawa chalti hai

    ek rahta hai tere ku mein KHiram apna bhi

    koi aahaT tere kuche mein mahak uThti hai

    jag uThta hai tamasha kisi sham apna bhi

    ek baadal hi nahin bar-e-garan se nalan

    sargiran rahta hai ek zor kalam apna bhi

    koi rasta mere virane mein aa jata hai

    usi raste se nikalta hai dawam apna bhi

    ek dil hai ki jise yaad hain baaten apni

    ek mai hai ki jise ras hai jam apna bhi

    yunhi logon ke pas-o-pesh mein chalte chalte

    gard uDti hai bikhar jata hai nam apna bhi

    mubtala kar-e-shab-o-roz mein hai shahr 'nawed'

    aur isi shahr mein gum hai koi kaam apna bhi

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 513)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now