hai utna muKHtasar qissa hamara
hai utnā muḳhtasar qissa hamārā
yahāñ koī nahīñ apnā hamārā
yahāñ tum jo ye sahrā dekhte ho
ye hotā thā kabhī dariyā hamārā
guzarte haiñ tere kūcha se ab bhī
badaltā hī nahīñ rastā hamārā
yahī Dar ham ko khaa.e jā rahā hai
tumhāre baad kyā hogā hamārā
kabhī apne hī dil se pūchh lenā
tumhāre paas hai kyā kyā hamārā
hai utna muKHtasar qissa hamara
yahan koi nahin apna hamara
yahan tum jo ye sahra dekhte ho
ye hota tha kabhi dariya hamara
guzarte hain tere kucha se ab bhi
badalta hi nahin rasta hamara
yahi Dar hum ko khae ja raha hai
tumhaare baad kya hoga hamara
kabhi apne hi dil se puchh lena
tumhaare pas hai kya kya hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.