hai wafa tujh mein to paband-e-wafa hun main bhi
hai vafā tujh meñ to pāband-e-vafā huuñ maiñ bhī
mujh se mil baiTh mohabbat kī fazā huuñ maiñ bhī
jab bhī aa jaa.e ḳhayāl un ko dil-e-muztar kā
lab pe be-sāḳhta aa.e vo duā huuñ maiñ bhī
ham-safar ban ke mile yā bane rahbar apnā
koī to pūchhe ki manzil kā patā huuñ maiñ bhī
guuñj sī ban ke fazāoñ meñ jo ho jaatī hai gum
mujh ko lagtā hai ki sahrā kī sadā huuñ maiñ bhī
maiñ ne chāhā hai dil-o-jāñ se 'sabīha' jis ko
vo kabhī aa.e kahe tujh pe fidā huuñ maiñ bhī
hai wafa tujh mein to paband-e-wafa hun main bhi
mujh se mil baiTh mohabbat ki faza hun main bhi
jab bhi aa jae KHayal un ko dil-e-muztar ka
lab pe be-saKHta aae wo dua hun main bhi
ham-safar ban ke mile ya bane rahbar apna
koi to puchhe ki manzil ka pata hun main bhi
gunj si ban ke fazaon mein jo ho jati hai gum
mujh ko lagta hai ki sahra ki sada hun main bhi
main ne chaha hai dil-o-jaan se 'sabiha' jis ko
wo kabhi aae kahe tujh pe fida hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.