hai waqt bigDa hamara badal bhi sakta hai
hai vaqt bigḌā hamārā badal bhī saktā hai
tumhāre haath se ye pal nikal bhī saktā hai
bahut sambhālā hai dil ko tumhārī fitrat se
magar jo dekhegā phir se machal bhī saktā hai
halāl rizq meñ barakat ḳhudā ne rakkhī hai
harām khā ke mirā jism pal bhī saktā hai
anā meñ apnī jise tum sunā chuke ho abhī
vo faisla ka.ī logoñ ko khal bhī saktā hai
agar ḳhudā ko hai manzūr jaan lo 'kāshif'
mirā charāġh havāoñ meñ jal bhī saktā hai
hai waqt bigDa hamara badal bhi sakta hai
tumhaare hath se ye pal nikal bhi sakta hai
bahut sambhaala hai dil ko tumhaari fitrat se
magar jo dekhega phir se machal bhi sakta hai
halal rizq mein barakat KHuda ne rakkhi hai
haram kha ke mera jism pal bhi sakta hai
ana mein apni jise tum suna chuke ho abhi
wo faisla kai logon ko khal bhi sakta hai
agar KHuda ko hai manzur jaan lo 'kashif'
mera charagh hawaon mein jal bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.