hai waqt ka payam zamana KHarab hai

hai waqt ka payam zamana KHarab hai
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
hai vaqt kā payām zamāna ḳharāb hai
aur is meñ kyā kalām zamāna ḳharāb hai
manzil na hai maqām zamāna ḳharāb hai
be-rah-ravī hai 'aam zamāna ḳharāb hai
sab apnī apnī aag meñ jalte haiñ raat din
qaazī hoñ yā imaam zamāna ḳharāb hai
sūraj ke bāvajūd añdherā hai har taraf
kaisā hai ye nizām zamāna ḳharāb hai
hañsne ke din 'adīb' palaT kar na ā.eñge
ronā hai sub.h-o-shām zamāna ḳharāb hai
hai waqt ka payam zamana KHarab hai
aur is mein kya kalam zamana KHarab hai
manzil na hai maqam zamana KHarab hai
be-rah-rawi hai 'am zamana KHarab hai
sab apni apni aag mein jalte hain raat din
qazi hon ya imam zamana KHarab hai
suraj ke bawajud andhera hai har taraf
kaisa hai ye nizam zamana KHarab hai
hansne ke din 'adib' palaT kar na aaenge
rona hai subh-o-sham zamana KHarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.