hai yaad tujhse mera wo sharh-e-haal dena
hai yaad tujh se merā vo sharh-e-hāl denā
aur sun ke terā us ko hañs hañs ke Taal denā
kar kar ke yaad us kī behāl huuñ nihāyat
fursat zarā tū mujh ko tū ai ḳhayāl denā
us zulf-e-kaj ke 'uqde hargiz khule na mujh par
kyuuñ us ko shāna kar ke ek ek baal denā
maiñ mudda'ā ko apne mahmil kahūñ huuñ tujh se
gosh-e-dil apnā īdhar sāhib-jamāl denā
is 'umr bhar meñ tujh se māñgā hai ek bosa
ḳhālī paḌe na pyāre merā savāl denā
ham se rukhā.iyāñ aur muñh jhulse mudda'ī kā
bosa pe bosa har dam duuñ be-savāl denā
yā-rab kisī pe hargiz 'āshiq koī na ho jo
dil haath dilbaroñ ke hai bad-ma.āl denā
vo mehrbāñ ki ham ko altāf-e-bar-mahal se
paas apne se thā us ko uThne muhāl denā
dekhe hai duur se to kahtā hai be-muravvat
ye kaun aa ghusā hai is ko nikāl denā
qaabū hai terā 'hasrat' mat chhoḌ mudda'ī ko
dushman ko maslahat niiñ hargiz majāl denā
hai yaad tujh se mera wo sharh-e-haal dena
aur sun ke tera us ko hans hans ke Tal dena
kar kar ke yaad us ki behaal hun nihayat
fursat zara tu mujh ko tu ai KHayal dena
us zulf-e-kaj ke 'uqde hargiz khule na mujh par
kyun us ko shana kar ke ek ek baal dena
main mudda'a ko apne mahmil kahun hun tujh se
gosh-e-dil apna idhar sahib-jamal dena
is 'umr bhar mein tujh se manga hai ek bosa
KHali paDe na pyare mera sawal dena
hum se rukhaiyan aur munh jhulse mudda'i ka
bosa pe bosa har dam dun be-sawal dena
ya-rab kisi pe hargiz 'ashiq koi na ho jo
dil hath dilbaron ke hai bad-maal dena
wo mehrban ki hum ko altaf-e-bar-mahal se
pas apne se tha us ko uThne muhaal dena
dekhe hai dur se to kahta hai be-murawwat
ye kaun aa ghusa hai is ko nikal dena
qabu hai tera 'hasrat' mat chhoD mudda'i ko
dushman ko maslahat nin hargiz majal dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.