hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna
hai yaqīnan ye koī rāz-e-mashiyyat varna
log karte hī nahīñ shahr se hijrat varna
us kī nafrat kā diyā ham ne mohabbat se javāb
kam na thī ḳhuun meñ kuchh apne bhī hiddat varna
tujh ko dekhā to yaqīñ ho gayā ai mast-e-ḳhirām
dekhtā aañkh se kaun apnī qayāmat varna
ḳhuun meñ sab ke hai qābīl ke ḳhuuñ kā unsur
nasl-e-ādam ke liye vaj.h-e-halākat varna
ai 'sharar' maiñ ne hī sūraj se milā.ī āñkheñ
kis ne kī mere sivā aisī jasārat varna
hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna
log karte hi nahin shahr se hijrat warna
us ki nafrat ka diya hum ne mohabbat se jawab
kam na thi KHun mein kuchh apne bhi hiddat warna
tujh ko dekha to yaqin ho gaya ai mast-e-KHiram
dekhta aankh se kaun apni qayamat warna
KHun mein sab ke hai qabil ke KHun ka unsur
nasl-e-adam ke liye wajh-e-halakat warna
ai 'sharar' main ne hi suraj se milai aankhen
kis ne ki mere siwa aisi jasarat warna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.