hai ye hasrat jafa kare koi
hai ye hasrat jafā kare koī
ab kare bhī to kyā kare koī
kuchh na hone se honā behtar hai
dard dil kā sivā kare koī
yaar jis meñ nazar nahīñ aatā
aisā ā.īna kyā kare koī
un kā chehra kitāb jaisā hai
un kā chehra paḌhā kare koī
aa ga.ī hai bahār gulshan meñ
zaḳhm dil kā harā kare koī
ḳhud se ab milnā chāhtā huuñ maiñ
maiñ kahāñ huuñ patā kare koī
vo to 'zīshān' mere dil meñ hai
laakh mujh se chhupā kare koī
hai ye hasrat jafa kare koi
ab kare bhi to kya kare koi
kuchh na hone se hona behtar hai
dard dil ka siwa kare koi
yar jis mein nazar nahin aata
aisa aaina kya kare koi
un ka chehra kitab jaisa hai
un ka chehra paDha kare koi
aa gai hai bahaar gulshan mein
zaKHm dil ka hara kare koi
KHud se ab milna chahta hun main
main kahan hun pata kare koi
wo to 'zishan' mere dil mein hai
lakh mujh se chhupa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.