hai zamane ka karobar wahi
hai zamāne kā kārobār vahī
ravish-e-bazm-e-rozgār vahī
tum ga.e ho to kuchh nahīñ badlā
phuul vaise hī haiñ bahār vahī
roz chaltā huuñ tum nahīñ hote
peḌ do-rūya rahguzār vahī
manzil-e-shauq bhī nahīñ badlī
rahguzar bhī vahī ġhubār vahī
haañ koī daaġh bhī nayā na milā
hasratoñ kā bhī hai shumār vahī
haañ vo sahrā bhī kuchh nahīñ badlā
garm sūraj vahī hai ḳhaar vahī
ab hai ye haal bas ki jiite haiñ
zinda rahne kā hai shi.ār vahī
dekhtī sab haiñ aur āñkhoñ meñ
ḳhvāb vaise hī ashk-bār vahī
hai zamane ka karobar wahi
rawish-e-bazm-e-rozgar wahi
tum gae ho to kuchh nahin badla
phul waise hi hain bahaar wahi
roz chalta hun tum nahin hote
peD do-ruya rahguzar wahi
manzil-e-shauq bhi nahin badli
rahguzar bhi wahi ghubar wahi
han koi dagh bhi naya na mila
hasraton ka bhi hai shumar wahi
han wo sahra bhi kuchh nahin badla
garm suraj wahi hai KHar wahi
ab hai ye haal bas ki jite hain
zinda rahne ka hai shiar wahi
dekhti sab hain aur aankhon mein
KHwab waise hi ashk-bar wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.