hai zamin par dayar miTTi ka
hai zamīñ par dayār miTTī kā
miTTī sahtī hai baar miTTī kā
sajda karne se jab kiyā inkār
tab vo samjhā vaqār miTTī kā
us ne putle meñ jaan kyā Daalī
ban gayā shāhkār miTTī kā
is ko milnā hai ḳhaak meñ ik din
kuchh nahīñ e.atibār miTTī kā
kis aziyyat se jaan niklī hai
us pe bhārī mazār miTTī kā
jaan pardes meñ ga.ī lekin
hind ko intizār miTTī kā
jism-e-at.har lahad meñ rakkhā hai
kab huā vo shikār miTTī kā
aaj barsāt pī ga.ī us ko
jo thā parvardigār miTTī kā
ye jo chashme ubalte haiñ kyā hai
ronā zār-o-qatār miTTī kā
aañkh meñ chubh rahī hai uryānī
jaise gard-o-ġhubār miTTī kā
baa'd marne ke hī chukā paayā
mujh pe jo thā udhār miTTī kā
maut 'ahsan' lahad meñ le aa.ī
ye hai miTTī se pyaar miTTī kā
hai zamin par dayar miTTi ka
miTTi sahti hai bar miTTi ka
sajda karne se jab kiya inkar
tab wo samjha waqar miTTi ka
us ne putle mein jaan kya Dali
ban gaya shahkar miTTi ka
is ko milna hai KHak mein ek din
kuchh nahin eatibar miTTi ka
kis aziyyat se jaan nikli hai
us pe bhaari mazar miTTi ka
jaan pardes mein gai lekin
hind ko intizar miTTi ka
jism-e-athar lahad mein rakkha hai
kab hua wo shikar miTTi ka
aaj barsat pi gai us ko
jo tha parwardigar miTTi ka
ye jo chashme ubalte hain kya hai
rona zar-o-qatar miTTi ka
aankh mein chubh rahi hai uryani
jaise gard-o-ghubar miTTi ka
ba'd marne ke hi chuka paya
mujh pe jo tha udhaar miTTi ka
maut 'ahsan' lahad mein le aai
ye hai miTTi se pyar miTTi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.