hai zaruri meri zindagi ke liye
hai zarūrī mirī zindagī ke liye
lauT aao ghaḌī do ghaḌī ke liye
tere jaane se aisī huī tīrgī
dil jalānā paḌā raushnī ke liye
ham ne dekhī hai un kī bhī rangīniyāñ
vo jo mash.hūr haiñ sādgī ke liye
jaan jaatī hai yuuñ to judā.ī meñ par
ham judā hoñge terī ḳhushī ke liye
raah taktī haiñ merī bhī nadiyāñ ka.ī
ḳhud ko pyāsā rakhā ik nadī ke liye
hausla hai to laḌ zindagī se ai dost
buzdilī chāhiye ḳhud-kushī ke liye
hai zaruri meri zindagi ke liye
lauT aao ghaDi do ghaDi ke liye
tere jaane se aisi hui tirgi
dil jalana paDa raushni ke liye
hum ne dekhi hai un ki bhi ranginiyan
wo jo mashhur hain sadgi ke liye
jaan jati hai yun to judai mein par
hum juda honge teri KHushi ke liye
rah takti hain meri bhi nadiyan kai
KHud ko pyasa rakha ek nadi ke liye
hausla hai to laD zindagi se ai dost
buzdili chahiye KHud-kushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.