hai zikr yahi har su ab umr-daraazon mein
hai zikr yahī har sū ab umr-darāzoñ meñ
khoī huī duniyā hai ye sho.abada-bāzoñ meñ
us lai se tarannum se maiñ kaise bahal jā.ūñ
āvāz nahīñ baaqī jab dil ke hī sāzoñ meñ
sajde hoñ numā.ish ke phir kaise asar hogā
mālik pe duāoñ kā bande kī namāzoñ meñ
mayyat meñ amīroñ kī ik jashn sā rahtā hai
logoñ kī kamī kyoñ hai ġhorabā ke janāzoñ meñ
kah deñge sar-e-mahshar a.azā-e-badan 'anvar'
a.amāl ḳhudā se sab kuchh hogā na rāzoñ meñ
hai zikr yahi har su ab umr-daraazon mein
khoi hui duniya hai ye shoabada-bazon mein
us lai se tarannum se main kaise bahal jaun
aawaz nahin baqi jab dil ke hi sazon mein
sajde hon numaish ke phir kaise asar hoga
malik pe duaon ka bande ki namazon mein
mayyat mein amiron ki ek jashn sa rahta hai
logon ki kami kyon hai ghoraba ke janazon mein
kah denge sar-e-mahshar aaza-e-badan 'anwar'
aamal KHuda se sab kuchh hoga na raazon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.