Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haif bais tere itab ka main

Iftikhar Raghib

haif bais tere itab ka main

Iftikhar Raghib

MORE BYIftikhar Raghib

    haif baa.is tire itaab maiñ

    kyā karūñ apne iztirāb maiñ

    terī āñkhoñ ke aa.ine meñ rahūñ

    aks ban jā.ūñ tere ḳhvāb maiñ

    rabt meñ bhī hisāb un maiñ

    aur qaa.il huuñ be-hisāb maiñ

    aur kab tak rahūñ maiñ misl-e-savāl

    muntazir aap ke javāb maiñ

    sard-mehrī hai lihāf un par

    aur paikar huuñ iztirāb maiñ

    jo mohabbat ke naam hai mansūb

    ik varaq huuñ usī kitāb maiñ

    mujtanib mere iltifāt se vo

    taḳhta-e-mashq ijtināb maiñ

    kyā karūñ aa.ina hai mere paas

    varna dushman nahīñ janāb maiñ

    kyoñ añdhere ḳhilāf haiñ mere

    kaun lagtā huuñ āftāb maiñ

    matn rūdād-e-ishq 'rāġhib'

    ḳhulāsa junūñ ke baab maiñ

    haif bais tere itab ka main

    kya karun apne iztirab ka main

    teri aankhon ke aaine mein rahun

    aks ban jaun tere KHwab ka main

    rabt mein bhi hisab un ka main

    aur qail hun be-hisab ka main

    aur kab tak rahun main misl-e-sawal

    muntazir aap ke jawab ka main

    sard-mehri ka hai lihaf un par

    aur paikar hun iztirab ka main

    jo mohabbat ke nam hai mansub

    ek waraq hun usi kitab ka main

    mujtanib mere iltifat se wo

    taKHta-e-mashq ijtinab ka main

    kya karun aaina hai mere pas

    warna dushman nahin janab ka main

    kyon andhere KHilaf hain mere

    kaun lagta hun aaftab ka main

    matn rudad-e-ishq ka 'raghib'

    ya KHulasa junun ke bab ka main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now