haif dil mein tere wafa na hui
haif dil meñ tire vafā na huī
kyuuñ tirī chashm meñ hayā na huī
yaar ne nāma-bar se ḳhat na liyā
merī ḳhātir aziiz kyā na huī
rah gayā duur tere kūche se
ḳhaak bhī merī pesh pā na huī
kaT ga.ī umr merī ġhaflat meñ
kuchh tirī bandagī adā na huī
dūd-e-dil terī zulf tak pahuñche
aah yaañ tak mirī rasā na huī
chashm-e-ḳhūñ-ḳhvār se 'fuġhāñ' dekhā
dil-e-bīmār ko shifā na huī
haif dil mein tere wafa na hui
kyun teri chashm mein haya na hui
yar ne nama-bar se KHat na liya
meri KHatir aziz kya na hui
rah gaya dur tere kuche se
KHak bhi meri pesh pa na hui
kaT gai umr meri ghaflat mein
kuchh teri bandagi ada na hui
dud-e-dil teri zulf tak pahunche
aah yan tak meri rasa na hui
chashm-e-KHun-KHwar se 'fughan' dekha
dil-e-bimar ko shifa na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.