hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi Dagar nahin hai
haiñ ajnabī rāstoñ ke manzar shanāsā koī Dagar nahīñ hai
qadam qadam par sa.ūbateñ haiñ safar to hai ham-safar nahīñ hai
chaman ke shaidā.iyoñ se ik din savāl ye pūchhnā hai mujh ko
khilā jo pur-ḳhār jañgaloñ meñ vo phuul kyuuñ mo'atabar nahīñ hai
maiñ band āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tumhārī aamad kī muntazir huuñ
chale bhī aao mirī mohabbat kā rāsta pur-ḳhatar nahīñ hai
tumhārī ḳhushbū churā rahī huuñ misāl-e-bād-e-sahar maiñ lekin
nigāh sūraj kī chubh rahī hai tumheñ ye shāyad ḳhabar nahīñ hai
ye ġhazleñ nazmeñ ye dil ke jazbe ye mahke mahke ḳhayāl saare
sajā rahī huuñ maiñ lafz apne kisī kī mujh par nazar nahīñ hai
hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi Dagar nahin hai
qadam qadam par saubaten hain safar to hai ham-safar nahin hai
chaman ke shaidaiyon se ek din sawal ye puchhna hai mujh ko
khila jo pur-KHar jangalon mein wo phul kyun mo'atabar nahin hai
main band aankhon ke aainon mein tumhaari aamad ki muntazir hun
chale bhi aao meri mohabbat ka rasta pur-KHatar nahin hai
tumhaari KHushbu chura rahi hun misal-e-baad-e-sahar main lekin
nigah suraj ki chubh rahi hai tumhein ye shayad KHabar nahin hai
ye ghazlen nazmen ye dil ke jazbe ye mahke mahke KHayal sare
saja rahi hun main lafz apne kisi ki mujh par nazar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.