hain bahut dekhe chahne wale
haiñ bahut dekhe chāhne vaale
par mile kam nibāhane vaale
ham tumhāre hoñ chāhne vaale
tum agar ho nibāhane vaale
āb-e-shamshīr ke piyāse haiñ
tere bismil karāhne vaale
aa ke duniyā meñ ai dil-e-nādāñ
kaam mat kar ulāhane vaale
chāhe chāhe na chāhe chāhe vo
ham to haiñ us ke chāhne vaale
nahīñ vo dost balki haiñ dushman
haiñ jo tere sarāhne vaale
'mashriqī' bas bigāḌ dete haiñ
un butoñ ko sarāhne vaale
hain bahut dekhe chahne wale
par mile kam nibahane wale
hum tumhaare hon chahne wale
tum agar ho nibahane wale
aab-e-shamshir ke piyase hain
tere bismil karahne wale
aa ke duniya mein ai dil-e-nadan
kaam mat kar ulahane wale
chahe chahe na chahe chahe wo
hum to hain us ke chahne wale
nahin wo dost balki hain dushman
hain jo tere sarahne wale
'mashriqi' bas bigaD dete hain
un buton ko sarahne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.