hain bahut mehrbaniyan teri
haiñ bahut mehrbāniyāñ terī
yaad haiñ qadr-dāniyāñ terī
mere jiine ke do sahāre haiñ
terī yādeñ nishāniyāñ terī
ḳhud ko paayā hai panne panne par
paḌh rahā thā kahāniyāñ terī
ek din ham ko maar Dāleñgī
yahī nāzuk-bayāniyāñ terī
ro paḌā huuñ maiñ dekh kar phir se
apne andar nishāniyāñ terī
hain bahut mehrbaniyan teri
yaad hain qadr-daniyan teri
mere jine ke do sahaare hain
teri yaaden nishaniyan teri
KHud ko paya hai panne panne par
paDh raha tha kahaniyan teri
ek din hum ko mar Dalengi
yahi nazuk-bayaniyan teri
ro paDa hun main dekh kar phir se
apne andar nishaniyan teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.