hain bahut se aashiq-e-dil-gir jama
haiñ bahut se āshiq-e-dil-gīr jam.a
tere tarkash meñ haiñ kitne tiir jam.a
achchhī sūrat se hameñ bhī ishq hai
karte haiñ tasvīr par tasvīr jam.a
kūcha-e-qātil meñ aafat aa ga.ī
jab hue do chaar bhī rahgīr jam.a
yā lagā do aag yā likh do javāb
ho gayā hai daftar-e-tahrīr jam.a
thoḌī thoḌī hī mile us dar kī ḳhaak
chuTkī chuTkī ham kareñ iksīr jam.a
ḳhūn-e-dil kā chashm-e-tar Thekā na le
is se hone kī nahīñ taufīr jam.a
kis tarah yakjā hoñ 'dāġh' apne aziiz
hone detī hī nahīñ taqdīr jam.a
hain bahut se aashiq-e-dil-gir jama
tere tarkash mein hain kitne tir jama
achchhi surat se hamein bhi ishq hai
karte hain taswir par taswir jama
kucha-e-qatil mein aafat aa gai
jab hue do chaar bhi rahgir jama
ya laga do aag ya likh do jawab
ho gaya hai daftar-e-tahrir jama
thoDi thoDi hi mile us dar ki KHak
chuTki chuTki hum karen iksir jama
KHun-e-dil ka chashm-e-tar Theka na le
is se hone ki nahin taufir jama
kis tarah yakja hon 'dagh' apne aziz
hone deti hi nahin taqdir jama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.