Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain bashar mein sifat muTThi bhar

Shadab Anjum

hain bashar mein sifat muTThi bhar

Shadab Anjum

MORE BYShadab Anjum

    haiñ bashar meñ sifāt muTThī bhar

    par nahīñ ḳhvāhishāt muTThī bhar

    merī āñkhoñ meñ ḳhvāb lā-mahdūd

    mere hisse meñ raat muTThī bhar

    āsmāñ se vasī.a mansūbe

    aadmī hayāt muTThī bhar

    dunyavī ilm jānte haiñ sab

    māhir-e-dīniyāt muTThī bhar

    ziist meñ haiñ masarrateñ lākhoñ

    aur haiñ hādsāt muTThī bhar

    mas.ale aa.e har ghaḌī darpesh

    hal huiiñ mushkilāt muTThī bhar

    va.ada imdād kareñge sab

    vaqt par deñge saath muTThī bhar

    ham se ye bhī adā nahīñ hote

    farz aur vājibāt muTThī bhar

    pyaar iḳhlās ājizī 'anjum'

    haiñ tire zevarāt muTThī bhar

    hain bashar mein sifat muTThi bhar

    par nahin KHwahishat muTThi bhar

    meri aankhon mein KHwab la-mahdud

    mere hisse mein raat muTThi bhar

    aasman se wasia mansube

    aadmi ki hayat muTThi bhar

    dunyawi ilm jaante hain sab

    mahir-e-diniyat muTThi bhar

    zist mein hain masarraten lakhon

    aur hain hadsat muTThi bhar

    masale aae har ghaDi darpesh

    hal huin mushkilat muTThi bhar

    wada imdad ka karenge sab

    waqt par denge sath muTThi bhar

    hum se ye bhi ada nahin hote

    farz aur wajibaat muTThi bhar

    pyar iKHlas aajizi 'anjum'

    hain tere zewaraat muTThi bhar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now