hain dagh-ha-e-gham to ujalon ke silsile
haiñ dāġh-hā-e-ġham to ujāloñ ke silsile
jaise bisāt-e-shab pe charāġhoñ ke silsile
sahrā-e-tishnagī meñ huuñ kāsa-ba-dast meñ
nazroñ ke sāmne haiñ sarāboñ ke silsile
har samt ḳhār-o-ḳhas kī haiñ dāman-darāziyāñ
milte nahīñ kahīñ bhī gulāboñ ke silsile
anjām sab kā ek hai bahr-e-hayāt meñ
hoñ dil kī hasrateñ ki habāboñ ke silsile
tārīkiyoñ kī dhund se miltī nahīñ najāt
hoñ laakh āsmāñ pe sitāroñ ke silsile
vo din bhī yaad haiñ hameñ 'bahzād' jabki the
marbūt gulsitāñ se bahāroñ ke silsile
hain dagh-ha-e-gham to ujalon ke silsile
jaise bisat-e-shab pe charaghon ke silsile
sahra-e-tishnagi mein hun kasa-ba-dast mein
nazron ke samne hain sarabon ke silsile
har samt KHar-o-KHas ki hain daman-daraaziyan
milte nahin kahin bhi gulabon ke silsile
anjam sab ka ek hai bahr-e-hayat mein
hon dil ki hasraten ki hababon ke silsile
tarikiyon ki dhund se milti nahin najat
hon lakh aasman pe sitaron ke silsile
wo din bhi yaad hain hamein 'bahzad' jabki the
marbut gulsitan se bahaaron ke silsile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.