hain dil mein dard magar kyon bayan nahin hota
haiñ dil meñ dard magar kyoñ bayāñ nahīñ hotā
ki koī itnā bhī to be-zabāñ nahīñ hotā
hisāb kaise kare koī ishq-o-ulfat meñ
diloñ ke saude meñ sūd-o-ziyāñ nahīñ hotā
kabhī talāsh hī letā maiñ manzileñ apnī
jo rāstoñ pe ġhamoñ kā dhuāñ nahīñ hotā
ye barg-e-zard daraḳhtoñ se jhaḌ ga.e kaise
ḳhudāyā kaash ye daur-e-ḳhizāñ nahīñ hotā
jidhar bhī dekho samundar yahāñ ġhamoñ kā hai
agar yahī hai jahāñ to jahāñ nahīñ hotā
hain dil mein dard magar kyon bayan nahin hota
ki koi itna bhi to be-zaban nahin hota
hisab kaise kare koi ishq-o-ulfat mein
dilon ke saude mein sud-o-ziyan nahin hota
kabhi talash hi leta main manzilen apni
jo raston pe ghamon ka dhuan nahin hota
ye barg-e-zard daraKHton se jhaD gae kaise
KHudaya kash ye daur-e-KHizan nahin hota
jidhar bhi dekho samundar yahan ghamon ka hai
agar yahi hai jahan to jahan nahin hota
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.