hain gardishen bhi rawan baKHt ke sitare mein
haiñ gardisheñ bhī ravāñ baḳht ke sitāre meñ
tabāh maiñ hī nahīñ vo bhī hai ḳhasāre meñ
nigāh pher lī us ne chhupā liye aañsū
magar balā kī kashish thī us ik nazāre meñ
talātumoñ kī sifat ishq meñ rahī har-dam
safīna dil kā musalsal hai tez dhāre meñ
jalā sake jo dil-o-jāñ vahī nazar qātil
vagarna soz-o-tapish hai kahāñ sharāre meñ
tamām raat havāoñ se guftugū karnā
ajab hai shauq mohabbat ke har sitāre meñ
ta.alluqāt nibhānā bhī ek fan hai miyāñ
maiñ tere mīThe meñ shāmil na tere khāre meñ
udaas lamhoñ meñ 'zākir' vo jab milā mujh se
nazar uThā ke kahā kuchh na apne baare meñ
hain gardishen bhi rawan baKHt ke sitare mein
tabah main hi nahin wo bhi hai KHasare mein
nigah pher li us ne chhupa liye aansu
magar bala ki kashish thi us ek nazare mein
talatumon ki sifat ishq mein rahi har-dam
safina dil ka musalsal hai tez dhaare mein
jala sake jo dil-o-jaan wahi nazar qatil
wagarna soz-o-tapish hai kahan sharare mein
tamam raat hawaon se guftugu karna
ajab hai shauq mohabbat ke har sitare mein
talluqat nibhana bhi ek fan hai miyan
main tere miThe mein shamil na tere khaare mein
udas lamhon mein 'zakir' wo jab mila mujh se
nazar uTha ke kaha kuchh na apne bare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.