hain hum bhi KHub chah ka saman kiye hue
hain hum bhi KHub chah ka saman kiye hue
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
haiñ ham bhī ḳhuub chaah kā sāmāñ kiye hue
baiThe haiñ ghar ko pahle hī vīrāñ kiye hue
dhoke meñ aa ke bāġh-e-jahāñ meñ chale ga.e
dil meñ gumān-e-kūcha-e-jānāñ kiye hue
baiThā huuñ roz-e-hijr meñ har ik ghaḌī pe maiñ
azm-e-shumār-e-reg-e-bayābāñ kiye hue
paas un ko rahve apne jo nāmūs-o-nang kā
ham bhī phireñge chaak garebāñ kiye hue
'ārif' batā ki sar hai ye kis din ke vāste
phirtā hai aaj teġh vo uryāñ kiye hue
hain hum bhi KHub chah ka saman kiye hue
baiThe hain ghar ko pahle hi viran kiye hue
dhoke mein aa ke bagh-e-jahan mein chale gae
dil mein guman-e-kucha-e-jaanan kiye hue
baiTha hun roz-e-hijr mein har ek ghaDi pe main
azm-e-shumar-e-reg-e-bayaban kiye hue
pas un ko rahwe apne jo namus-o-nang ka
hum bhi phirenge chaak gareban kiye hue
'arif' bata ki sar hai ye kis din ke waste
phirta hai aaj tegh wo uryan kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.