hain jitni parten yahan aasman mein shamil
haiñ jitnī parteñ yahāñ āsmān meñ shāmil
sabhī huiiñ mirī had kī uḌaan meñ shāmil
baḌhā hai shahr meñ rutba zarā hamārā bhī
hue haiñ jaise ham un ke bayān meñ shāmil
uchhāl yuuñ hī nahīñ baḌh ga.ī hai lahroñ kī
nadī kā zor bhī hai kuchh Dhalān meñ shāmil
dhuāñ ġhubār parinde tapish ghuTan ḳhushbū
haiñ bojh kitne havā kī thakān meñ shāmil
thiiñ qist jitnī bhī ḳhvāboñ kī be-hisāb paḌī
kiyā hai niiñd ne sab ko lagān meñ shāmil
sunā hai naam se tere haiñ bikte afsāne
mujhe bhī kar le kabhī dāstān meñ shāmil
zarā sī dostī kī ham se qāfiyoñ ne kiyā
kiyā ġhazal ne hameñ ḳhāndān meñ shāmil
hain jitni parten yahan aasman mein shamil
sabhi huin meri had ki uDan mein shamil
baDha hai shahr mein rutba zara hamara bhi
hue hain jaise hum un ke bayan mein shamil
uchhaal yun hi nahin baDh gai hai lahron ki
nadi ka zor bhi hai kuchh Dhalan mein shamil
dhuan ghubar parinde tapish ghuTan KHushbu
hain bojh kitne hawa ki thakan mein shamil
thin qist jitni bhi KHwabon ki be-hisab paDi
kiya hai nind ne sab ko lagan mein shamil
suna hai nam se tere hain bikte afsane
mujhe bhi kar le kabhi dastan mein shamil
zara si dosti ki hum se qafiyon ne kiya
kiya ghazal ne hamein KHandan mein shamil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.