hain jo murawwaj mehr-o-wafa ke sab sar-rishte bhul gae
hain jo murawwaj mehr-o-wafa ke sab sar-rishte bhul gae
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
haiñ jo muravvaj mehr-o-vafā ke sab sar-rishte bhuul ga.e
phir ga.e tum to qaul-o-qasam se apne navishte bhuul ga.e
jab dekho tab lāThī Theñge khaT khaT karte phirte haiñ
uḌte haiñ koī shaiḳh-jī sāhab un ko farishte bhuul ga.e
ahle-gahle phirte ho sāhab sair-e-chaman meñ aur tumheñ
apne taḌapte zaḳhmī sab ḳhuuñ meñ āġhushte bhuul ga.e
qāzī-jiyo ke donoñ beTe ham se kaheñge hai vo masal
ghar meñ farishte ke ḳhārishte so ḳhārishte bhuul ga.e
nasl baḌī aadam kī 'inshā' kaun kisī ko pahchāne
bā.is-e-kasrat ham dīgar ke nāte-rishte bhuul ga.e
hain jo murawwaj mehr-o-wafa ke sab sar-rishte bhul gae
phir gae tum to qaul-o-qasam se apne nawishte bhul gae
jab dekho tab laThi Thenge khaT khaT karte phirte hain
uDte hain koi shaiKH-ji sahab un ko farishte bhul gae
ahle-gahle phirte ho sahab sair-e-chaman mein aur tumhein
apne taDapte zaKHmi sab KHun mein aaghushte bhul gae
qazi-jiyo ke donon beTe hum se kahenge hai wo masal
ghar mein farishte ke KHarishte so KHarishte bhul gae
nasl baDi aadam ki 'insha' kaun kisi ko pahchane
bais-e-kasrat hum digar ke nate-rishte bhul gae
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.