hain lazzat-e-hayat to kuchh talKHiyan bhi hain
hain lazzat-e-hayat to kuchh talKHiyan bhi hain
Suman Dhingra Duggal
MORE BYSuman Dhingra Duggal
haiñ lazzat-e-hayāt to kuchh talḳhiyāñ bhī haiñ
hañsne ke saath saath yahāñ siskiyāñ bhī haiñ
āñkhoñ ke rāste se nikalte haiñ ranj-o-ġham
achchhā hai is makān meñ kuchh khiḌkiyāñ bhī haiñ
kahte haiñ log tujh ko gul-e-bad-nasīb bhī
suntī huuñ justujū meñ terī titliyāñ bhī haiñ
tūfān bhī shabāb pe aane lagā idhar
betāb Dūbne ko idhar kashtiyāñ bhī haiñ
chheḌā na kījiye mujhe maiñ aisī sham.a huuñ
dāman bachā ke jis se chaleñ āñdhiyāñ bhī haiñ
ātish-fishāñ se duur rahā kar zarā 'suman'
sūraj ke paas dekh kahīñ bastiyāñ bhī haiñ
hain lazzat-e-hayat to kuchh talKHiyan bhi hain
hansne ke sath sath yahan siskiyan bhi hain
aankhon ke raste se nikalte hain ranj-o-gham
achchha hai is makan mein kuchh khiDkiyan bhi hain
kahte hain log tujh ko gul-e-bad-nasib bhi
sunti hun justuju mein teri titliyan bhi hain
tufan bhi shabab pe aane laga idhar
betab Dubne ko idhar kashtiyan bhi hain
chheDa na kijiye mujhe main aisi shama hun
daman bacha ke jis se chalen aandhiyan bhi hain
aatish-fishan se dur raha kar zara 'suman'
suraj ke pas dekh kahin bastiyan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.