hain meri qabr pe wo jalwa-numa mere baad
hain meri qabr pe wo jalwa-numa mere baad
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
haiñ mirī qabr pe vo jalva-numā mere baad
ishq kā mere asar un pe huā mere baad
aur kuchh der mire ġham kī kahānī sun lo
varna phir kaun karegā ye gila mere baad
dekh us gul ko kisī ġhair kā denā na payām
maiñ kahe detā huuñ ai bād-e-sabā mere baad
kyoñ na ḳhush huuñ ki ġham-e-hijr se mar kar chhūTā
ab jo aa.eñ bhī to phir lutf hai kyā mere baad
aur kuchh ġham nahīñ ġham hai to isī kā ġham hai
laash par merī kareñge vo bukā mere baad
un se kah de ye koī jā ke payām-e-'shaidā'
dhyān rakhnā mirā ai māh-laqā mere ba.ad
hain meri qabr pe wo jalwa-numa mere baad
ishq ka mere asar un pe hua mere baad
aur kuchh der mere gham ki kahani sun lo
warna phir kaun karega ye gila mere baad
dekh us gul ko kisi ghair ka dena na payam
main kahe deta hun ai baad-e-saba mere baad
kyon na KHush hun ki gham-e-hijr se mar kar chhuTa
ab jo aaen bhi to phir lutf hai kya mere baad
aur kuchh gham nahin gham hai to isi ka gham hai
lash par meri karenge wo buka mere baad
un se kah de ye koi ja ke payam-e-'shaida'
dhyan rakhna mera ai mah-laqa mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.