hain muntazir aankhen koi ek KHwab to aae
haiñ muntazir āñkheñ koī ik ḳhvāb to aa.e
sāhil nahīñ aatā hai to girdāb to aa.e
sahrā ke ḳhad-o-ḳhāl se khelūñ maiñ kahāñ tak
raste meñ koī ḳhitta-e-shādāb to aa.e
kyā fikr jo paikar se vo mahtāb nahīñ hai
pahne hue pairāhan-e-mahtāb to aa.e
aflāk ye kahte haiñ huī bazm mukammal
kahte haiñ sitāre mirā mahtāb to aa.e
jo vaqt kī likkhī huī tahrīr miTā de
bāzār meñ aisā koī tezāb to aa.e
jin logoñ ne dekhī nahīñ Duubī huī bastī
vo log duā karte haiñ sailāb to aa.e
suntā huuñ ki har shaḳhs paḌhe us kā qasīda
ik baar shanāvar vo tah-e-āb to aa.e
aa jā.eñge aahū bhī jhukā.e hue gardan
shamshīr-e-hunar meñ tirī kuchh aab to aa.e
kis kaam ke the pheñk diye dasht-e-ziyāñ meñ
hāthoñ meñ ka.ī gauhar-e-nāyāb to aa.e
sūkhe hue hoñT apne dikhā deñge use ham
pahle hameñ karne koī sairāb to aa.e
har shaḳhs se miltā hai na.e kunj-e-nafas meñ
'yāvar' ko mulāqāt ke ādāb to aa.e
hain muntazir aankhen koi ek KHwab to aae
sahil nahin aata hai to girdab to aae
sahra ke KHad-o-KHal se khelun main kahan tak
raste mein koi KHitta-e-shadab to aae
kya fikr jo paikar se wo mahtab nahin hai
pahne hue pairahan-e-mahtab to aae
aflak ye kahte hain hui bazm mukammal
kahte hain sitare mera mahtab to aae
jo waqt ki likkhi hui tahrir miTa de
bazar mein aisa koi tezab to aae
jin logon ne dekhi nahin Dubi hui basti
wo log dua karte hain sailab to aae
sunta hun ki har shaKHs paDhe us ka qasida
ek bar shanawar wo tah-e-ab to aae
aa jaenge aahu bhi jhukae hue gardan
shamshir-e-hunar mein teri kuchh aab to aae
kis kaam ke the phenk diye dasht-e-ziyan mein
hathon mein kai gauhar-e-nayab to aae
sukhe hue honT apne dikha denge use hum
pahle hamein karne koi sairab to aae
har shaKHs se milta hai nae kunj-e-nafas mein
'yawar' ko mulaqat ke aadab to aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.