hain rahzan bhi abhi rahbari ke parde mein
haiñ rāhzan bhī abhī rahbarī ke parde meñ
siyāh dil haiñ isī raushnī ke parde meñ
sukūn-e-qalb kahāñ zindagī ke parde meñ
jab aadmī hī nahīñ aadmī ke parde meñ
ma.āl-e-manzil-e-ulfat are ma.āz-allāh
kabhī kisī ko milā hai ḳhushī ke parde meñ
duā-e-ḳhair kare jo bhī is taraf aa.e
nishān-e-qabr kahe ḳhāmushī ke parde meñ
mazāq-e-shauq kā bas is qadar hai afsāna
ġham-e-shadīd hai ''paikar ḳhushī ke parde meñ
hain rahzan bhi abhi rahbari ke parde mein
siyah dil hain isi raushni ke parde mein
sukun-e-qalb kahan zindagi ke parde mein
jab aadmi hi nahin aadmi ke parde mein
maal-e-manzil-e-ulfat are maaz-allah
kabhi kisi ko mila hai KHushi ke parde mein
dua-e-KHair kare jo bhi is taraf aae
nishan-e-qabr kahe KHamushi ke parde mein
mazaq-e-shauq ka bas is qadar hai afsana
gham-e-shadid hai paikar KHushi ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.