hain sare jurm jab apne hisab mein likhna
haiñ saare jurm jab apne hisāb meñ likhnā
savāl ye hai ki phir kyā javāb meñ likhnā
burā sahī maiñ pa niyyat burī nahīñ merī
mire gunāh bhī kār-e-savāb meñ likhnā
rahā sahā bhī sahārā na TuuT jaa.e kahīñ
na aisī baat koī iztirāb meñ likhnā
ye ittifāq ki māñgā thā un se jin kā javāb
vo bāteñ bhuul ga.e vo javāb meñ likhnā
havā-mahal meñ sajāyā thā tum ne jab darbār
koī ġharīb bhī aayā thā ḳhvāb meñ likhnā
na bhūlnā ki 'umar' haiñ ye dostoñ ke hisāb
kabhī na paḌhnā jo dil kī kitāb meñ likhnā
hain sare jurm jab apne hisab mein likhna
sawal ye hai ki phir kya jawab mein likhna
bura sahi main pa niyyat buri nahin meri
mere gunah bhi kar-e-sawab mein likhna
raha saha bhi sahaara na TuT jae kahin
na aisi baat koi iztirab mein likhna
ye ittifaq ki manga tha un se jin ka jawab
wo baaten bhul gae wo jawab mein likhna
hawa-mahal mein sajaya tha tum ne jab darbar
koi gharib bhi aaya tha KHwab mein likhna
na bhulna ki 'umar' hain ye doston ke hisab
kabhi na paDhna jo dil ki kitab mein likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.