hain siyah abr ke sae tere gesu ki tarah
haiñ siyah abr ke saa.e tire gesū kī tarah
jalva-gar qaus-e-quzah hai tire abrū kī tarah
zehn-o-dil hosh-o-ḳhirad fahm-o-shu.ūr-o-idrāk
le ga.ī un kī nazar luuT ke jaadū kī tarah
maiñ to kuchh bhī nahīñ zulmat-kada-e-hastī meñ
huuñ faqat ek chamakte hue jugnū kī tarah
māh-e-nau kā nazar aatā hai falak par jo dimāġh
hū-bahū jalvagarī hai tirī abrū kī tarah
jaane kyā TūTtā rahtā hai mire siine meñ
guuñj aatī hai chhanakte hue ghuñgrū kī tarah
ik na ik din mujhe mahsūs kiyā jaanā hai
maiñ chaman meñ huuñ bikhartī huī ḳhushbū kī tarah
vaqt kī aañkh se kyā jāniye kab gir jā.ūñ
maiñ huuñ palkoñ pe larazte hue aañsū kī tarah
tum ne dekhā to lagā tum ko divāna 'sājid'
ham ne dekhā to dikhā.ī diyā sādhū kī tarah
hain siyah abr ke sae tere gesu ki tarah
jalwa-gar qaus-e-quzah hai tere abru ki tarah
zehn-o-dil hosh-o-KHirad fahm-o-shuur-o-idrak
le gai un ki nazar luT ke jadu ki tarah
main to kuchh bhi nahin zulmat-kada-e-hasti mein
hun faqat ek chamakte hue jugnu ki tarah
mah-e-nau ka nazar aata hai falak par jo dimagh
hu-bahu jalwagari hai teri abru ki tarah
jaane kya TuTta rahta hai mere sine mein
gunj aati hai chhanakte hue ghungru ki tarah
ek na ek din mujhe mahsus kiya jaana hai
main chaman mein hun bikharti hui KHushbu ki tarah
waqt ki aankh se kya jaaniye kab gir jaun
main hun palkon pe larazte hue aansu ki tarah
tum ne dekha to laga tum ko diwana 'sajid'
hum ne dekha to dikhai diya sadhu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.