hain wasl mein shoKHi se paband-e-haya aankhen
haiñ vasl meñ shoḳhī se pāband-e-hayā āñkheñ
allāh-re zālim kī mazlūm-numā āñkheñ
aafat meñ fañsā.eñgī dīvāna banā.eñgī
vo ġhāliya-sā zulfeñ vo hosh-rubā āñkheñ
kyā jāniye kyā kartā kyā dekhtā kyā kahtā
zāhid ko bhī merī sī detā jo ḳhudā āñkheñ
rahm un ko na aayā thā to sharm hī aa jaatī
be-dād ke shikve par jhuktīñ to zarā āñkheñ
tum jaan ko kho baiTho yā āñkhoñ ko ro baiTho
'beḳhud' na milā.eñge vo tum se zarā āñkheñ
hain wasl mein shoKHi se paband-e-haya aankhen
allah-re zalim ki mazlum-numa aankhen
aafat mein fansaengi diwana banaengi
wo ghaaliya-sa zulfen wo hosh-ruba aankhen
kya jaaniye kya karta kya dekhta kya kahta
zahid ko bhi meri si deta jo KHuda aankhen
rahm un ko na aaya tha to sharm hi aa jati
be-dad ke shikwe par jhuktin to zara aankhen
tum jaan ko kho baiTho ya aankhon ko ro baiTho
'beKHud' na milaenge wo tum se zara aankhen
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 187)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.