hain yahan jo bhi KHarabaat kaho achchhe hain
haiñ yahāñ jo bhī ḳharābāt kaho achchhe haiñ
mulk ke jaise hoñ hālāt kaho achchhe haiñ
vo jo qātil haiñ unheñ apnā masīhā jaano
shahr meñ jitne haiñ bad-zāt kaho achchhe haiñ
jo añdhere haiñ har ik or unheñ nuur kaho
dil dukhāte haiñ jo kalmāt kaho achchhe haiñ
din ba-din hote tamāshoñ ko karāmāt likho
sānehe jitne haiñ sadmāt kaho achchhe haiñ
vasvase apne kahīñ dafn karo jaao 'naved'
dil meñ baiThe haiñ jo ḳhadshāt kaho achchhe haiñ
hain yahan jo bhi KHarabaat kaho achchhe hain
mulk ke jaise hon haalat kaho achchhe hain
wo jo qatil hain unhen apna masiha jaano
shahr mein jitne hain bad-zat kaho achchhe hain
jo andhere hain har ek or unhen nur kaho
dil dukhate hain jo kalmat kaho achchhe hain
din ba-din hote tamashon ko karamat likho
sanehe jitne hain sadmat kaho achchhe hain
waswase apne kahin dafn karo jao 'nawed'
dil mein baiThe hain jo KHadshat kaho achchhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.