hain ye janjal sare ji ke sath
haiñ ye janjāl saare jī ke saath
maut har dam hai zindagī ke saath
bevafā.ī vafā ke badle meñ
hotī aa.ī hai aadmī ke saath
fikr-e-nān-e-shabīna hai be-kār
rizq aatā hai aadmī ke saath
paas thā zar to koī aib na thā
sab uyuub aa.e be-zarī ke saath
ab to sohān-e-rūh udāsī hai
dil-lagī to thī dil-lagī ke saath
kis qadar hasrat-e-sulūk-o-dard
be-kasī ko hai be-kasī ke saath
kaaT hī leñge zindagī kā safar
ranj ke saath kuchh ḳhushī ke saath
ab bhī dair-o-haram ko jaatā huuñ
lekin andāz-e-be-dilī ke saath
ishq meñ rashk bhī gumāñ bhī hai
vāsta kyā tumheñ kisī ke saath
jaam par jaam kījiye nosh aap
lekin ādāb-e-mai-kashī ke saath
aur bhī haiñ gunāh duniyā meñ
is qadar bair mai-kashī ke saath
but-parastī hai koī khel nahīñ
kiije īmāñ kī puḳhtagī ke saath
hain ye janjal sare ji ke sath
maut har dam hai zindagi ke sath
bewafai wafa ke badle mein
hoti aai hai aadmi ke sath
fikr-e-nan-e-shabina hai be-kar
rizq aata hai aadmi ke sath
pas tha zar to koi aib na tha
sab uyub aae be-zari ke sath
ab to sohan-e-ruh udasi hai
dil-lagi to thi dil-lagi ke sath
kis qadar hasrat-e-suluk-o-dard
be-kasi ko hai be-kasi ke sath
kaT hi lenge zindagi ka safar
ranj ke sath kuchh KHushi ke sath
ab bhi dair-o-haram ko jata hun
lekin andaz-e-be-dili ke sath
ishq mein rashk bhi guman bhi hai
wasta kya tumhein kisi ke sath
jam par jam kijiye nosh aap
lekin aadab-e-mai-kashi ke sath
aur bhi hain gunah duniya mein
is qadar bair mai-kashi ke sath
but-parasti hai koi khel nahin
kije iman ki puKHtagi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.