haiñ ye saare jīte-jī ke vāste
kaun martā hai kisī ke vāste
aadmī sahtā hai kyā kyā zillateñ
nafs-e-mardūd-e-shaqī ke vāste
ham bhī jā.eñge sulaimāñ tak kabhī
'arz karne ik parī ke vāste
dar-ba-dar kūchoñ meñ ham bhī phir chuke
ek husn-e-ḳhān.gī ke vāste
kisht-zār-e-zāfrāñ se kam nahīñ
rañg-e-zard apnā hañsī ke vāste
kyuuñ diye haiñ tū ne qassam-e-azal
ranj lākhoñ ek jī ke vāste
do zakāt-e-husn kuchh darvesh ko
haiñ baḌe rutbe saḳhī ke vāste
ik se ik haiñ ek se le laakh tak
saf-shikan mard-e-jarī ke vāste
ġham ne is darja kiyā dil meñ hujūm
jā nahīñ hai ḳhurmī ke vāste
aur kyā ho yaar kī āñkhoñ se kaam
ḳhulq haiñ jādūgarī ke vāste
yaad rakhnā shart aur mashrūt hai
ādmiyyat aadmī ke vāste
rañj-o-andoh-o-malāl-o-dard-o-ġham
sadme haiñ ye aadmī ke vāste
sabza-e-madfan ugā thā kyuuñ falak
āhūoñ kī kyā charī ke vāste
laḌ ga.e vo ik zarā sī baat meñ
pahroñ rūThe ik ghaḌī ke vāste
jī na ghabrā.e tirā be-mashġhale
'ishq kar le dil-lagī ke vāste
kyā mujhe paidā kiyā hai ai ḳhudā
in butoñ kī bandagī ke vāste
be-kasī mere liye paidā huī
maiñ banā huuñ be-kasī ke vāste
bolā murġh-e-nāma-bar ko kar ke zab.h
ye sazā hai elchī ke vāste
dhugdugī meñ jaan aTkī hai mirī
haa.e kis champā-kalī ke vāste
bāryāb-e-ḳhalvat-e-mahbūb hai
kyā sharaf hai aarsī ke vāste
marqad-e-tīra meñ kaafī hai mujhe
dāġh-e-saudā raushnī ke vāste
kījiye har dam 'abas tan-parvarī
ai ajal kis zindagī ke vāste
ḳhāma-e-qudrat ne khīñchīñ vo bhaveñ
rāstī ye hai kajī ke vāste
hashr ke din 'rind' ko baḳhshā.īyo
yā-'alī rūh-e-nabī ke vāste
hain ye sare jite-ji ke waste
kaun marta hai kisi ke waste
aadmi sahta hai kya kya zillaten
nafs-e-mardud-e-shaqi ke waste
hum bhi jaenge sulaiman tak kabhi
'arz karne ek pari ke waste
dar-ba-dar kuchon mein hum bhi phir chuke
ek husn-e-KHangi ke waste
kisht-zar-e-zafran se kam nahin
rang-e-zard apna hansi ke waste
kyun diye hain tu ne qassam-e-azal
ranj lakhon ek ji ke waste
do zakat-e-husn kuchh darwesh ko
hain baDe rutbe saKHi ke waste
ek se ek hain ek se le lakh tak
saf-shikan mard-e-jari ke waste
gham ne is darja kiya dil mein hujum
ja nahin hai KHurmi ke waste
aur kya ho yar ki aankhon se kaam
KHulq hain jadugari ke waste
yaad rakhna shart aur mashrut hai
aadmiyyat aadmi ke waste
ranj-o-andoh-o-malal-o-dard-o-gham
sadme hain ye aadmi ke waste
sabza-e-madfan uga tha kyun falak
aahuon ki kya chari ke waste
laD gae wo ek zara si baat mein
pahron ruThe ek ghaDi ke waste
ji na ghabrae tera be-mashghale
'ishq kar le dil-lagi ke waste
kya mujhe paida kiya hai ai KHuda
in buton ki bandagi ke waste
be-kasi mere liye paida hui
main bana hun be-kasi ke waste
bola murgh-e-nama-bar ko kar ke zabh
ye saza hai elchi ke waste
dhugdugi mein jaan aTki hai meri
hae kis champa-kali ke waste
baryab-e-KHalwat-e-mahbub hai
kya sharaf hai aarsi ke waste
marqad-e-tira mein kafi hai mujhe
dagh-e-sauda raushni ke waste
kijiye har dam 'abas tan-parwari
ai ajal kis zindagi ke waste
KHama-e-qudrat ne khinchin wo bhawen
rasti ye hai kaji ke waste
hashr ke din 'rind' ko baKHshaiyo
ya-'ali ruh-e-nabi ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.