hain yun mast aankhon mein Dore gulabi
haiñ yuuñ mast āñkhoñ meñ Dore gulābī
sharābī ke pahlū meñ jaise sharābī
vo āñkheñ gulābī aur aisī gulābī
ki jis rut ko dekheñ banā deñ sharābī
badaltā hai har daur ke saath saaqī
ye duniyā hai kitnī baḌī inqilābī
javānī meñ is tarah miltī haiñ nazreñ
sharābī se miltā hai jaise sharābī
nichoḌo koī baḌh ke dāman shafaq kā
falak par ye kis ne girā dī gulābī
ghanī mast palkoñ ke saa.e meñ nazreñ
bahakte hue mai-kadoñ meñ sharābī
zarā mujh se bachte raho pārsāo
kahīñ tum ko chhū le na merī ḳharābī
'nazīr' apnī duniyā to ab tak yahī hai
sharāb āftābī fazā māhtābī
hain yun mast aankhon mein Dore gulabi
sharabi ke pahlu mein jaise sharabi
wo aankhen gulabi aur aisi gulabi
ki jis rut ko dekhen bana den sharabi
badalta hai har daur ke sath saqi
ye duniya hai kitni baDi inqilabi
jawani mein is tarah milti hain nazren
sharabi se milta hai jaise sharabi
nichoDo koi baDh ke daman shafaq ka
falak par ye kis ne gira di gulabi
ghani mast palkon ke sae mein nazren
bahakte hue mai-kadon mein sharabi
zara mujh se bachte raho parsao
kahin tum ko chhu le na meri KHarabi
'nazir' apni duniya to ab tak yahi hai
sharab aaftabi faza mahtabi
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 217)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.