hairan aankh KHwab-nigar baad mein hui
hairān aañkh ḳhvāb-nigar baad meñ huī
nannhī sī aarzū thī amar baad meñ huī
kis marz-e-lā-davā ne use kar liyā asiir
ḳhud par to chārāgar kī nazar baad meñ huī
qaid-e-qafas se zindagī pahle huī rihā
aur raushnī sī jānib-e-dar baad meñ huī
kis dasht-e-be-amāñ meñ luTā kārvān-e-shauq
dil ko to hādse kī ḳhabar baad meñ huī
kahte haiñ log us ne ka.ī ghar jalā diye
vo raushnī ki jo mire ghar baad meñ huī
ra.anā.ī chūstī rahī abr-e-bahār kī
ik chob-e-ḳhushk shāḳh-e-samar baad meñ huī
ġham to janam janam se mire saath thā 'sadaf'
lekin ḳhushī sharīk-e-safar baad meñ huī
hairan aankh KHwab-nigar baad mein hui
nannhi si aarzu thi amar baad mein hui
kis marz-e-la-dawa ne use kar liya asir
KHud par to chaaragar ki nazar baad mein hui
qaid-e-qafas se zindagi pahle hui riha
aur raushni si jaanib-e-dar baad mein hui
kis dasht-e-be-aman mein luTa karwan-e-shauq
dil ko to hadse ki KHabar baad mein hui
kahte hain log us ne kai ghar jala diye
wo raushni ki jo mere ghar baad mein hui
ranai chusti rahi abr-e-bahaar ki
ek chob-e-KHushk shaKH-e-samar baad mein hui
gham to janam janam se mere sath tha 'sadaf'
lekin KHushi sharik-e-safar baad mein hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.