hairan hai aankh chashm-e-inayat ko kya hua
hairāñ hai aañkh chashm-e-ināyat ko kyā huā
duniyā meñ rasm-o-rāh-e-mohabbat ko kyā huā
maanā ki shahr-e-husn meñ jins-e-vafā nahīñ
lekin jahāñ meñ ishq kī daulat ko kyā huā
aatī hai yaad roz ḳhud aatī nahīñ magar
yārab hamārī shām-e-masarrat ko kyā huā
vaqt-e-vidā' zard huā rang-e-ruḳh agar
rang-o-bahār-e-āriz-e-fitrat ko kyā huā
thī ham ko aql se to na pahle hī kuchh umiid
'nayyar' junūñ ke faiz-o-karāmāt ko kyā huā
hairan hai aankh chashm-e-inayat ko kya hua
duniya mein rasm-o-rah-e-mohabbat ko kya hua
mana ki shahr-e-husn mein jins-e-wafa nahin
lekin jahan mein ishq ki daulat ko kya hua
aati hai yaad roz KHud aati nahin magar
yarab hamari sham-e-masarrat ko kya hua
waqt-e-wida' zard hua rang-e-ruKH agar
rang-o-bahaar-e-ariz-e-fitrat ko kya hua
thi hum ko aql se to na pahle hi kuchh umid
'nayyar' junun ke faiz-o-karamat ko kya hua
- Sher-o-hikmata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.