hairan hain sare aaine mazi-o-haal ke
hairāñ haiñ saare aa.ine māzī-o-hāl ke
jalve bikhar ga.e haiñ ye kis ḳhush-jamāl ke
us bad-gumāñ kī hoñgī na kam bad-gumāniyāñ
ham chāhe rakh deñ apnā kaleja nikāl ke
duniyā se be-niyāz huuñ ḳhud se bhī be-ḳhabar
kyā kyā karam haiñ mujh pe ġham-e-lā-zavāl ke
lillāh dil kī baat pe parda na Dāliye
asbāb kuchh to hoñge zarūr is malāl ke
un kī talāsh meñ maiñ vahāñ tak nikal gayā
kaTte haiñ par jis auj pe vahm-o-ḳhayāl ke
hairan hain sare aaine mazi-o-haal ke
jalwe bikhar gae hain ye kis KHush-jamal ke
us bad-guman ki hongi na kam bad-gumaniyan
hum chahe rakh den apna kaleja nikal ke
duniya se be-niyaz hun KHud se bhi be-KHabar
kya kya karam hain mujh pe gham-e-la-zawal ke
lillah dil ki baat pe parda na Daliye
asbab kuchh to honge zarur is malal ke
un ki talash mein main wahan tak nikal gaya
kaTte hain par jis auj pe wahm-o-KHayal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.