Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hairan ho raha hun basirat ke nam par

Alam Khursheed

hairan ho raha hun basirat ke nam par

Alam Khursheed

MORE BYAlam Khursheed

    hairān ho rahā huuñ basīrat ke naam par

    maiñ dekhtā kuchh aur huuñ manzar kuchh aur hai

    mujh ko sitāra aur koī khīñchtā hai kyuuñ

    merā ilāqa aur hai mehvar kuchh aur hai

    patthar samajh rahā hai zamāna to kyā karūñ

    muTThī meñ merī jab ki munavvar kuchh aur hai

    tāsīr-e-ḳhāk aa.egī alfāz meñ mire

    dil meñ hai aur baat laboñ par kuchh aur hai

    'ālam' mujhe bharosa nahīñ zā.ichoñ pe ab

    is meñ likhā thā aur mayassar kuchh aur hai

    hairan ho raha hun basirat ke nam par

    main dekhta kuchh aur hun manzar kuchh aur hai

    mujh ko sitara aur koi khinchta hai kyun

    mera ilaqa aur hai mehwar kuchh aur hai

    patthar samajh raha hai zamana to kya karun

    muTThi mein meri jab ki munawwar kuchh aur hai

    tasir-e-KHak aaegi alfaz mein mere

    dil mein hai aur baat labon par kuchh aur hai

    'alam' mujhe bharosa nahin zaichon pe ab

    is mein likha tha aur mayassar kuchh aur hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now