hairan hun nasib ki baKHshish ko dekh kar
hairān huuñ nasīb kī baḳhshish ko dekh kar
saa.e se apne dhuup meñ mahrūm haiñ shajar
qabze meñ apne hotī fazāoñ kī mamlikat
uḌte agar havāoñ kī raftār dekh kar
un se mile to ḳhud se bhī pahchān ho ga.ī
varna ham apnī zaat se ab tak the be-ḳhabar
har TukḌe meñ bas ek hī tasvīr pāoge
dekho to apnī zaat kā ā.īna toḌ kar
nashtar se log karte haiñ zaḳhm-e-jigar rafū
ye rasm to kahāñ se chalī mere chārāgar
'anjum' zamīñ se jin kī jaḌeñ rishta toḌ leñ
dekhā hai sab ne suukh ke girte haiñ vo shajar
hairan hun nasib ki baKHshish ko dekh kar
sae se apne dhup mein mahrum hain shajar
qabze mein apne hoti fazaon ki mamlikat
uDte agar hawaon ki raftar dekh kar
un se mile to KHud se bhi pahchan ho gai
warna hum apni zat se ab tak the be-KHabar
har TukDe mein bas ek hi taswir paoge
dekho to apni zat ka aaina toD kar
nashtar se log karte hain zaKHm-e-jigar rafu
ye rasm to kahan se chali mere chaaragar
'anjum' zamin se jin ki jaDen rishta toD len
dekha hai sab ne sukh ke girte hain wo shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.