hairan meharbano ke rumal ho gae
hairān meharbāno ke rūmāl ho ga.e
aañsū kamāl-e-zabt se jab laal ho ga.e
ye dekhnā hai kis ghaḌī dafnāyā jā.ūñgā
mujh ko mare hue to ka.ī saal ho ga.e
tum saarī umr kaise sambhāloge nafrateñ
ham to zarā sī der meñ behāl ho ga.e
saa.il ko ek lafz-e-mohabbat na mil sakā
hairat hai saare log hī kañgāl ho ga.e
dil ke parinde uḌ ga.e apnī dishāoñ meñ
nākām aql tere sabhī jaal ho ga.e
hairan meharbano ke rumal ho gae
aansu kamal-e-zabt se jab lal ho gae
ye dekhna hai kis ghaDi dafnaya jaunga
mujh ko mare hue to kai sal ho gae
tum sari umr kaise sambhaaloge nafraten
hum to zara si der mein behaal ho gae
sail ko ek lafz-e-mohabbat na mil saka
hairat hai sare log hi kangal ho gae
dil ke parinde uD gae apni dishaon mein
nakaam aql tere sabhi jal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.