hairan udas be-sada hai
hairān udaas be-sadā hai
kis ḳhauf meñ shahr mubtalā hai
a.asāb pe tīrgī hai taarī
kyoñ dil kā charāg bujh gayā hai
hai koī to baat us ke dil meñ
vo mujh se yūñhī nahīñ ḳhafā hai
kyā kiije malāl hāsidoñ kā
kaun in kā ilaaj kar sakā hai
afkār kā zāviya badal kar
imkān se aage sochnā hai
hairan udas be-sada hai
kis KHauf mein shahr mubtala hai
aasab pe tirgi hai tari
kyon dil ka charag bujh gaya hai
hai koi to baat us ke dil mein
wo mujh se yunhi nahin KHafa hai
kya kije malal hasidon ka
kaun in ka ilaj kar saka hai
afkar ka zawiya badal kar
imkan se aage sochna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.