hairat-e-naz baDi der se hairan jaanam
hairat-e-nāz baḌī der se hairāñ jānam
baad muddat jo milī sā.at-e-imkāñ jānam
haiñ bahut aaj bhī taz.īn ke sāmāñ jānam
motiyāñ aur sadaf tār-e-garebāñ jānam
in hī yādoñ meñ hai tafsīr-e-bahārāñ jānam
bāñdh rakhiyo ye haiñ aurāq-e-gulistāñ jānam
jis se tanhā.ī kī tahzīb sañvar jaatī hai
tum hī batlāo mire qurb kā unvāñ jānam
koī to paas huā kartā hai apnoñ kī tarah
raat jab dard se miltī hai mirī jaañ jānam
ḳhūn-e-hasrat meñ Duboyā hai qalam ko maiñ ne
ab to kaT jā.eñge lamhāt-e-pareshāñ jānam
roz khulte haiñ kisī va.ada-e-jānāñ ke baġhair
phuul mausam se nahīñ karte haiñ paimāñ jānam
ham ne girdāb kī pāzeb banā Daalī hai
haath kangan meñ sajī gardish-e-daurāñ jānam
ḳhush-gumāñ lafz meñ ḳhushbū hai tire paikar kī
kitnā pur-kaif tire ḳhat kā hai ehsāñ jānam
mus.haf-e-nūr nazar aa.ī tirī paak jabīñ
terā chehra bhī to hai rashk-e-gulistāñ jānam
hairat-e-naz baDi der se hairan jaanam
baad muddat jo mili saat-e-imkan jaanam
hain bahut aaj bhi tazin ke saman jaanam
motiyan aur sadaf tar-e-gareban jaanam
in hi yaadon mein hai tafsir-e-bahaaran jaanam
bandh rakhiyo ye hain auraq-e-gulistan jaanam
jis se tanhai ki tahzib sanwar jati hai
tum hi batlao mere qurb ka unwan jaanam
koi to pas hua karta hai apnon ki tarah
raat jab dard se milti hai meri jaan jaanam
KHun-e-hasrat mein Duboya hai qalam ko main ne
ab to kaT jaenge lamhat-e-pareshan jaanam
roz khulte hain kisi wada-e-jaanan ke baghair
phul mausam se nahin karte hain paiman jaanam
hum ne girdab ki pazeb bana Dali hai
hath kangan mein saji gardish-e-dauran jaanam
KHush-guman lafz mein KHushbu hai tere paikar ki
kitna pur-kaif tere KHat ka hai ehsan jaanam
mushaf-e-nur nazar aai teri pak jabin
tera chehra bhi to hai rashk-e-gulistan jaanam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.