hairat-e-paiham hue KHwab se mehman tere
hairat-e-paiham hue ḳhvāb se mehmāñ tire
raat charāġhoñ meñ kyuuñ bujh ga.e imkāñ tire
ek qadam laġhzisheñ raah meñ aa kar milīñ
ruuTh ga.e tujh se phir dasht-o-bayābāñ tire
ishq ke andhe ḳhudā husn kā rasta dikhā
dar pe tire aa ga.e be-sar-o-sāmāñ tire
nashsha thā kaisā ajab ḳhvāb kahānī meñ jab
aañkh thī raushan mirī naqsh the uryāñ tire
ik abadī hijr kī fasl harī ho ga.ī
bhuul ga.e vaqt ko va.ada-o-paimāñ tire
shauq-e-bahār-e-ḳhayāl chuum ke chal Daal Daal
phuul pareshāñ tire baaġh haiñ vīrāñ tire
hairat-e-paiham hue KHwab se mehman tere
raat charaghon mein kyun bujh gae imkan tere
ek qadam laghzishen rah mein aa kar milin
ruTh gae tujh se phir dasht-o-bayaban tere
ishq ke andhe KHuda husn ka rasta dikha
dar pe tere aa gae be-sar-o-saman tere
nashsha tha kaisa ajab KHwab kahani mein jab
aankh thi raushan meri naqsh the uryan tere
ek abadi hijr ki fasl hari ho gai
bhul gae waqt ko wada-o-paiman tere
shauq-e-bahaar-e-KHayal chum ke chal Dal Dal
phul pareshan tere bagh hain viran tere
- Book : Duniya Zade (Pg. 214)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Scheherzade (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.