hairat hai ki jo zulm se taqdir banaen
hairat hai ki jo zulm se taqdīr banā.eñ
kuchh log unheñ sāhab-e-tauqīr banā.eñ
ik ḳhvāb meñ rakheñ koī guzrā huā lamha
ik ḳhvāb se ā.inda kī ta.abīr banā.eñ
patthar pe kareñ naqsh tire hijr kā qissa
paanī pe tire vasl kī tasvīr banā.eñ
shāyad kisī zindān se nikle nahīñ ab tak
ye log jo kāġhaz pe bhī zanjīr banā.eñ
ik baar agar bāb-e-suḳhan ham pe bhī khul jaa.e
us shaḳhs ko bhī mo'taqid-e-'mīr' banā.eñ
hairat hai ki jo zulm se taqdir banaen
kuchh log unhen sahab-e-tauqir banaen
ek KHwab mein rakhen koi guzra hua lamha
ek KHwab se aainda ki tabir banaen
patthar pe karen naqsh tere hijr ka qissa
pani pe tere wasl ki taswir banaen
shayad kisi zindan se nikle nahin ab tak
ye log jo kaghaz pe bhi zanjir banaen
ek bar agar bab-e-suKHan hum pe bhi khul jae
us shaKHs ko bhi mo'taqid-e-'mir' banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.