hairat hi rah gai hai jahan-e-KHarab mein
hairat hī rah ga.ī hai jahān-e-ḳharāb meñ
haa.e sudhar ga.e haiñ vo apne shabāb meñ
dastak bhī jald aa ga.ī kuchh vaqt bhī thā kam
haDDī ke saath baal bhī aayā kabāb meñ
girya shab-e-firāq meñ kar ke banā de nahar
phir māhtāb dekhnā utregā aab meñ
jī bhar ke nekiyāñ karūñ aur vo bhī is liye
har baar phir maiñ aap ko māñgūñ savāb meñ
is bevafā.ī ke liye tayyār thī meñ dost
kal raat daañt TūTtā dekhā thā ḳhvāb meñ
hairat se dekhte rahe us ko banā ke ham
kaisī kashish thī rañg the faanī habāb meñ
piite hī dil meñ ġham utar aayā surūr na.iiñ
kuchh ashk aa gire the hamārī sharāb meñ
hairat hi rah gai hai jahan-e-KHarab mein
hae sudhar gae hain wo apne shabab mein
dastak bhi jald aa gai kuchh waqt bhi tha kam
haDDi ke sath baal bhi aaya kabab mein
girya shab-e-firaq mein kar ke bana de nahar
phir mahtab dekhna utrega aab mein
ji bhar ke nekiyan karun aur wo bhi is liye
har bar phir main aap ko mangun sawab mein
is bewafai ke liye tayyar thi mein dost
kal raat dant TuTta dekha tha KHwab mein
hairat se dekhte rahe us ko bana ke hum
kaisi kashish thi rang the fani habab mein
pite hi dil mein gham utar aaya surur nain
kuchh ashk aa gire the hamari sharab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.