hairat-kade mein aise nazar aa raha hai dil
hairat-kade meñ aise nazar aa rahā hai dil
jaise kisī ḳhayāl se Takrā rahā hai dil
kaj aañkh ho yā kaj ho jabīñ yā ho kaj ravish
tīnoñ hī zāviyoñ se phaTā jā rahā hai dil
merī parī ke lahje meñ kuchh to 'ajīb hai
jumbish kī dhaar se hī kaTā jā rahā hai dil
dil ne kahā hai dil se ki dil dil ko milne aa.e
is dilbarī meñ dil kī chalā jā rahā hai dil
jis kī kamī ne ham ko suḳhan-var banā diyā
ab tak usī ko soch ghuTā jā rahā hai dil
lagtā hai aaj phir vo mujhe yaad aa gayā
māyūs is qadar jo huā jā rahā hai dil
hairat-kade mein aise nazar aa raha hai dil
jaise kisi KHayal se Takra raha hai dil
kaj aankh ho ya kaj ho jabin ya ho kaj rawish
tinon hi zawiyon se phaTa ja raha hai dil
meri pari ke lahje mein kuchh to 'ajib hai
jumbish ki dhaar se hi kaTa ja raha hai dil
dil ne kaha hai dil se ki dil dil ko milne aae
is dilbari mein dil ki chala ja raha hai dil
jis ki kami ne hum ko suKHan-war bana diya
ab tak usi ko soch ghuTa ja raha hai dil
lagta hai aaj phir wo mujhe yaad aa gaya
mayus is qadar jo hua ja raha hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.